Lingua   

आज के इस इंसान को यह क्या हो गया

Kavi Pradeep [Kavī Pradīpa] / कवी प्रदीप
Pagina della canzone con tutte le versioni


OriginaleLa trascrizione basata su principi tradizionali.
आज के इस इंसान को यह क्या हो गयाAAJ KE IS INSAAN KO YE KYAA HO GAYAA
  
आज के इस इंसान को यह क्या हो गयाAaj ke is insaan ko ye kyaa ho gayaa,
इसका पुराना प्यार कहाँ पर खो गयाiskaa puraanaa pyaar kahaan par kho gayaa.
  
कैसी यह मनहूस घडी है, भाईओं में जंग छिड़ी हैKaisi ye manhoos ghadi hai, bhaaiyon mei jang chidi hai,
कहीं पे खून कहीं पर जवाला, जाने क्या है होने वालाKahin par khoon, kahin par jwaalaa, jaane kyaa hai hone waalaa,
सब का माथा आज झुका है, आजादी का जलूस रुका हैSab kaa maathaa aaj jhukaa hai, aazaadi kaa juloos rukaa hai,
चरों और दगा ही दगा है, हर छुरे पर खून लगा हैChaaron ore dagaa hee dagaa hai, har chhure par khoon lagaa hai,
आज दुखी है जनता सारी, रोते हैं लाखों नर नारीAaj dukhi hai jantaa saari, rote hain laakhon nar naari,
रोते हैं आँगन गलिआरे, रोते आज मोहल्ले सारेRote hain aangan galiyaare, rote aaj mohalle saare,
रोती सलमा रोती है सीता, रोते हैं कुरान और गीताRoti Salmaa, roti hai Seeta, rote hain Quraan aur Geeta
आज हिमालय चिल्लाता है, कहाँ पुराना वो नाता हैAaj Himaalay chillaataa hai, kahaan puraanaa wo naataa hai,
दस लिया सारे देश को जेहरी नागो ने,Das diyaa saare desh ko zehreele naagon ne,
घर को लगादी आग घर के चिरागों नेGhar ko lagaa dee aag ghar ke chiraagon ne.
  
अपने देश था वो देश था भाई, लाखों बार मुसीबत आईApnaa desh wo desh thhaa bhaai, laakhon baar musibat aayee,
इंसानों ने जान गवाई, पर बहनों की लाज बचाईInsaanon ne jaan ganwaayee, par bahanon ki laaj bachaayee,
लेकिन अब वो बात कहाँ है, अब तो केवल घात यहाँ हैLekin ab wo baat kahaan hai ab to kewal ghaat yahaan hai,
चल रहीं हैं उलटी हवाएं, कांप रहीं थर थर अबलायेंChal rahee hai ultee hawaayen, kaanp rahee thhar thhar ablaayen,
आज हर एक आँचल को है खतरा, आज हर एक घूँघट को है खतराAaj har ek aanchal ko hai khatraa, aaj har ghunghat ko hai khatraa,
खतरे में है लाज बहन की, खतरे में चूड़ीया दुल्हन कीKhatre mei hai laaj bahan kee, khatre mei hai chudiyaan dulhan kee,
डरती है हर पाँव की पायल, आज कहीं हो जाए ना घायलDartee hai har paanw ki paayal, aaj kaheen ho naa jaaye ghaayal,
आज सलामत कोई ना घर है, सब को लुट जाने का डर हैAaj salaamat naa koi ghar hai, sab ko lut jaane kaa dar hai,
हमने अपने वतन को देखा, आदमी के पतन को देखाHumne apne watan ko dekhaa, aadmi ke patan ko dekhaa,
आज तो बहनों पर भी हमला होता है,Aaj to bahanon par bhee humlaa hotaa hai,
दूर किसी कोने में मजहब रोता हैDuur kisi kone mei majhab rotaa hai.
  
किस के सर इलज़ाम धरें हम, आज कहाँ फ़रिआद करें हमKiske sar ilzaam dharen hum, aaj kahaan fariyaad karen hum?
करते हैं जो आज लड़ाई, सब के सब हैं अपने ही भाईKarte hai jo aaj ladaai, sub ke sub hain apne hee bhaai,
सब के सब हैं यहाँ अपराधी, हाय मोहोब्बत सबने भुलादीSub ke sub yahaan apraadhi, haay mohabbat sub ne bhulaa dee,
आज बही जो खून की धारा, दोषी उसका समाज है साराAaj bahee jo khoon ki dhaaraa, doshi uskaa samaaj hai saaraa,
सुनो जरा ओ सुनने वालो, आसमान पर नज़र घुमा लोSuno zara o sunne waalon, aasmaan par nazar ghumaa lo,
एक गगन में करोडो तारे, रहते हैं हिलमिल के सारेEk gagan mei karoron taare, rahte hain hil mil kar saare,
कभी ना वो आपस में लड़ते, कभी ना देखा उनको झगड़तेKabhi naa wo aapas mei ladte, kabhi naa dekhaa unko jhagadte,
कभी नहीं वो छुरे चलाते, नहीं किसी का खून बहातेKabhi nahin wo chhure chalaate, kabhi nahin kisi kaa khoon bahaate,
लेकिन इस इंसान को देखो, धरती की संतान को देखोLekin is insaan ko dekho, dharti ki santaan ko dekho,
कितना है यह हाय कमीना, इसने लाखों का सुख छीनाKitnaa hai ye haay kameenaa, is ne laakhon kaa sukh chheenaa,
की है जो इसने आज तबाही, देगें उसकी यह मुखड़े गवाहीKee hai isne aaj jo tabaahee, denge uskee ye mulk gawaahee,
आपस की दुश्मनी का यह अंजाम हुआ,Aapas kee ye dushmani kaa ye anjaam huaa,
दुनिया हसने लगी देश बदनाम हुआDuniyaa hansne lagi desh badnaam huaa.
  
कैसा यह खतरे का पहर है, आज हवाओं में भी ज़हर हैKaisaa ye khatre kaa fazal hai, aaj hawaaon mei bhee zahar hai,
कहीं भी देखो बात यही है, हाय भयानक रात यही हैKahin bhee dekho baat yahee hai, haay bhayaanak raat yahee hai,
मौत के साए में हर घर है, कब क्या होगा किसे खबर हैMaut ke saaye hain ghar ghar mei, kab kya hogaa kise khabar hai,
बंद है खिड़की, बंद है द्वारे, बैठे हैं सब डर के मारेBund hain khidki, bund hain dwaare, baithe hain sab darr ke mare,
क्या होगा इन बेचारों का, क्या होगा इन लाचारों काKyaa hogaa in bechaaron kaa, kyaa hogaa in laachaaron kaa,
इनका सब कुछ खो सकता है, इनपे हमला हो सकता हैInkaa sub kuch kho saktaa hai, in par humlaa ho saktaa hai,
कोई रक्षक नज़र ना आता, सोआ है आकाश पे दाताKoi rakshak nazar aataa naheen, khoyaa hai aakaash mei daataa,
यह क्या हाल हुआ अपने संसार का,Ye kyaa haal huaa apne sansaar kaa,
निकल रहा है आज जनाजा प्यार काNikal rahaa hai aaj zanaazaa pyaar kaa.


Pagina della canzone con tutte le versioni

Pagina principale CCG


hosted by inventati.org